#Poetry
Poetry Name -: ADHOORA
Written BY -: SK Ahirwar
YouTube -: Kahani 4.u
_________________________________________________________________________________
Adhoora Hoon Main, Adhoora Rehna Chahta hoon
Sab se Bahut Baat Kar Li Ab Bas Chup Rehna Chahta Hoon
Soya Nahi Hoon Main Lambe Arse se
Ab Bas Sukoon Se Sona Chahta Hoon
Adhoora Hoon Main, Adhoora Rehna Chahta hoon
Chaahaa Tha Bhaut Kisi Ko, Is Aadhe Dil Ko Poora Karne ke Liye
Beech Main Hee Chhod Gaye Wo Hamko Sab Kuch Pa Jane Ke Liye
Ik Pal Main Apna Bana Liya Kisi Or Ko Apna Wajood Banane Ke Liye
Jara Sa Bhi Na Socha Unhone Hame Akela Chhod Jane Ke Liya
Ab Akela Hoon Main, Akela Rehna Chahta Hoon
Na Hee Kisi Ka Sath Na Hee Kisi Se Milna Chahta Hoon
Adhoora Hoon Main, Adhoora Rehna Chahta hoon
Kuch Khawab The Mere Jo Poora Karna Chahta Tha
Dekhe The Kuch Sapne Jinhe Sach Karna Chahta Tha
Bedardi Is Duniya Main Kasti Apni Tairana Chahta Tha
Kasti Ko Main Apni, Ik Din Jahaaj Banana Chahta Tha
Jahaaj Ko Main Apne, Ik Din Samundar Main Tairana Chahta Tha
Dekhe The Kuch Sapne Jinhe Sach Karna Chahta Tha
Kuch Khawab The Mere Jo Poora Karna Chahta Tha
Gumnaam Hoon Is Duniya Main Apna Naam Banana Chahta Tha
Akela Tha Main, Akela Nahi Rehana Chahta Tha
Gumnaam Tha Is Duniya Main Apna Naam Banana Chahta Tha
Akela Tha Main, Akela Nahi Rehana Chahta Tha
Adhoora Tha Main Adhoora Nahi Rehna Chahta Tha.
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
-MY SOCIAL HANDLES-
- Youtube video link -: Adhoora Hoon Main #Poetry |BY- Kahani 4.u
- Youtube Channel -: (Kahani 4.u)
- Facebook Page -: fb/kahani 4.u
- Insta user name -: @ kahani4.u

Very nice poetry
ReplyDeleteThank you .....😀
DeleteOsm poetry
ReplyDelete